Shayari
main ne kal toDaa ik aaina to mahsus huaa
is mein poshida koi chiiz thi jauhar jaisi
parinde fazaaon mein phir kho gae
dhuaan hi dhuaan aashiyaanon mein thaa
پرندے فضاؤں میں پھر کھو گئے
دھواں ہی دھواں آشیانوں میں تھا
परिंदे फ़ज़ाओं में फिर खो गए
धुआँ ही धुआँ आशियानों में था

main ne kal toDaa ik aaina to mahsus huaa
is mein poshida koi chiiz thi jauhar jaisi
khushnumaa divaar-o-dar ke khvaab hi dekhaa kiye
jism sahraa zehn viraan aankh giili ho gai
kamre mein dhuaan dard ki pahchaan banaa thaa
kal raat koi phir miraa mehmaan banaa thaa
tamaam raat vo pahlu ko garm kartaa rahaa
kisi ki yaad kaa nashsha sharaab jaisaa thaa
shaayad tumhaari yaad mire paas aa gai
yaa hai mire hi dil ki sadaa sochnaa paDaa
mujhe bhi fursat-e-nazzaara-e-jamaal na thi
aur us ko paas kisi aur ke bhi jaanaa thaa