Shayari
zard mausam ne darakhton ki zabaan sil di thi
phir koi phuul hansaa aur khizaan haar gai
dastaras mein na rahe lafz-gari behtar hai
ham agar bol paDeinge to bahut boleinge
دسترس میں نہ رہے لفظ گری بہتر ہے
ہم اگر بول پڑیں گے تو بہت بولیں گے
दस्तरस में न रहे लफ़्ज़-गरी बेहतर है
हम अगर बोल पड़ेंगे तो बहुत बोलेंगे

zard mausam ne darakhton ki zabaan sil di thi
phir koi phuul hansaa aur khizaan haar gai
khudaa-yaa apne kun ki laaj rakh le
tiraa shahkaar zaae' ho rahaa hai
javaab aae na aae shikan to aaegi
savaal puchh hi lenaa agarche Darte hue
ajnabiyyat ki jhalak dekhi gai lahje mein
baat Darne ki hai is baat pe Dar jaaiye naa
khurach khurach ke tujhe zehn se miTaaungaa
main apne hosh ke naakhun zaraa baDhaa to luun
zard chehron se udaasi ke bichhaDne kaa sabab
log puchheinge to kah denaa ki dukh haar gayaa