Shayari
annyaae ne bhar di hai bahut aag dilon mein
lanka hi kahin is mein jo jal jaae to achchhaa
mire liye hain musibat ye aaina-khaane
yahaan zamir miraa be-naqaab rahtaa hai
مرے لیے ہیں مصیبت یہ آئنہ خانے
یہاں ضمیر مرا بے نقاب رہتا ہے
मिरे लिए हैं मुसीबत ये आइना-ख़ाने
यहाँ ज़मीर मिरा बे-नक़ाब रहता है

annyaae ne bhar di hai bahut aag dilon mein
lanka hi kahin is mein jo jal jaae to achchhaa
dilkashi thi unsiyat thi yaa mohabbat yaa junun
sab maraahil tujh se jo mansub the achchhe lage
nai naslon ke haathon mein bhi taabinda rahegaa
main mil jaaungaa miTTi mein qalam zinda rahegaa
pyaar kaa donon pe aakhir jurm saabit ho gayaa
ye farishte aaj jannat se nikaale jaaeinge
vaaiz safar to meraa bhi thaa ruuh ki taraf
par kyaa karun ki raah mein ye jism aa paDaa
dhaavaa bolegaa bahut jald khizaan kaa lashkar
shaakh ko neza karun phuul ko talvaar karun