Shayari
dard se bhartaa rahaa zaat ke khaali-pan ko
thoDaa thoDaa yunhi bharpur kiyaa main ne mujhe
main chikhtaa rahaa kuchh aur bhi hai meraa ilaaj
magar ye log tumhaaraa hi naam lete rahe
میں چیختا رہا کچھ اور بھی ہے میرا علاج
مگر یہ لوگ تمہارا ہی نام لیتے رہے
मैं चीख़ता रहा कुछ और भी है मेरा इलाज
मगर ये लोग तुम्हारा ही नाम लेते रहे

dard se bhartaa rahaa zaat ke khaali-pan ko
thoDaa thoDaa yunhi bharpur kiyaa main ne mujhe
kaisi hoti hain udaasi ki jaDein
aa dikhaaun tujhe dil ke reshe
kisi tarah se nazar mutmain nahin hoti
har ek shai ko dobaara badal ke dekhtaa huun
Thiik se yaad bhi nahin ab to
ishq ne mujh mein kab qayaam kiyaa
barham hain mujh pe is liye donon taraf ke log
divaar uTh gai thi to dar kyuun banaayaa hai
patthar mein kaun jonk lagaaegaa mere dost
dil hai to mubtalaa bhi kahin honaa chaahiye