Shayari
phir sar-e-subh kisi dard ke dar vaa karne
dhaan ke khet se ik mauj-e-havaa aai hai
The poetry of pain — verses that give voice to the deepest heartache.
phir sar-e-subh kisi dard ke dar vaa karne
dhaan ke khet se ik mauj-e-havaa aai hai
gham-e-firaaq mein taklif-e-sair-e-baagh na do
mujhe dimaagh nahin khanda-haa-e-bejaa kaa
kab Thahregaa dard ai dil kab raat basar hogi
sunte the vo aaeinge sunte the sahar hogi
ab khushi hai na koi dard rulaane vaalaa
ham ne apnaa liyaa har rang zamaane vaalaa
chamak hai dard hai kaundan paDi hai huuk uThti hai
mire pahlu mein kyuun yaaro ye dil hai yaa ki phoDaa hai
ishq se tabiat ne ziist kaa mazaa paayaa
dard ki davaa paai dard-e-be-davaa paayaa
ishrat-e-qatra hai dariyaa mein fanaa ho jaanaa
dard kaa had se guzarnaa hai davaa ho jaanaa
tamannaa dard-e-dil ki ho to kar khidmat faqiron ki
nahin miltaa ye gauhar baadshaahon ke khazinon mein
dard ho to davaa kare koi
maut hi ho to kyaa kare koi
paas jab tak vo rahe dard thamaa rahtaa hai
phailtaa jaataa hai phir aankh ke kaajal ki tarah
zindagi kyaa kisi muflis ki qabaa hai jis mein
har ghaDi dard ke paivand lage jaate hain
bahut milaa na milaa zindagi se gham kyaa hai
mataa-e-dard baham hai to besh-o-kam kyaa hai
zindagaani dard-e-sar hai yaar bin
kui hamaare sar kuun aa kar jhaaD de
kyuun nahin letaa hamaari tu khabar ai be-khabar
kyaa tire aashiq hue the dard-o-gham khaane ko ham
ab tiraa zikr bhi shaayad hi ghazal mein aae
aur se aur hue dard ke unvaan jaanaan
kuchh ham ko imtiyaaz nahin saaf o durd kaa
ai saaqiyaan-e-bazm bayaarid harche hast
dil-e-naadaan tujhe huaa kyaa hai
aakhir is dard ki davaa kyaa hai
dil hi to hai na sang-o-khisht dard se bhar na aae kyuun
roeinge ham hazaar baar koi hamein sataae kyuun
ik ye bhi to andaaz-e-ilaaj-e-gham-e-jaan hai
ai chaaragaro dard baDhaa kyuun nahin dete
jaraahat-tohfa almaas-armughaan daagh-e-jigar hadiya
mubaarakbaad 'asad' gham-khvaar-e-jaan-e-dardmand aayaa