Shayari
tum saada-mizaaji se miTe phirte ho jis par
vo shakhs to duniyaa mein kisi kaa bhi nahin hai
kis kis ki zabaan rokne jaaun tiri khaatir
kis kis ki tabaahi mein tiraa haath nahin hai
کس کس کی زباں روکنے جاؤں تری خاطر
کس کس کی تباہی میں ترا ہاتھ نہیں ہے
किस किस की ज़बाँ रोकने जाऊँ तिरी ख़ातिर
किस किस की तबाही में तिरा हाथ नहीं है

tum saada-mizaaji se miTe phirte ho jis par
vo shakhs to duniyaa mein kisi kaa bhi nahin hai
main hairaan huun ki kyuun us se hui thi dosti apni
mujhe kaise gavaara ho gai thi dushmani apni
log yuun dekh ke hans dete hain
tu mujhe bhuul gayaa ho jaise
shorish-e-ishq mein hai husn baraabar kaa sharik
soch kar jurm-e-tamannaa ki sazaa do ham ko
ham chaTaanein hain koi ret ke saahil to nahi
shauq se shahr-panaahon mein lagaa do ham ko
kuchh log jo savaar hain kaaghaz ki naav par
tohmat taraashte hain havaa ke dabaav par