Shayari
dekhne sunne kaa maza jab hai
kuchh haqiqat ho kuchh fasaana ho
har ek saans mujhe khinchti hai us ki taraf
ye kaun mere liye be-qaraar rahtaa hai
ہر ایک سانس مجھے کھینچتی ہے اس کی طرف
یہ کون میرے لیے بے قرار رہتا ہے
हर एक साँस मुझे खींचती है उस की तरफ़
ये कौन मेरे लिए बे-क़रार रहता है

dekhne sunne kaa maza jab hai
kuchh haqiqat ho kuchh fasaana ho
hisaar-e-jism miraa toD-phoD Daalegaa
zarur koi mujhe qaid se chhuDaa legaa
ab aur der na kar hashr barpaa karne mein
miri nazar tire didaar ko tarasti hai
chale the jis ki taraf vo nishaan khatm huaa
safar adhuraa rahaa aasmaan khatm huaa
kaisaa insaan taras rahaa hai jiine ko
kaise saahil par ik machhli zinda hai
sahraa jangal saagar parbat
in se hi rasta miltaa hai