Shayari
aayaa bhi koi dil mein gayaa bhi koi dil se
aanaa nazar aayaa na ye jaanaa nazar aayaa
H
Hijr Nazim Ali Khankahegi hashr ke din us ki rahmat-e-be-had
ki be-gunaah se achchhaa gunaah-gaar rahaa
کہے گی حشر کے دن اس کی رحمت بے حد
کہ بے گناہ سے اچھا گناہگار رہا
कहेगी हश्र के दिन उस की रहमत-ए-बे-हद
कि बे-गुनाह से अच्छा गुनाह-गार रहा
aayaa bhi koi dil mein gayaa bhi koi dil se
aanaa nazar aayaa na ye jaanaa nazar aayaa
kuchh khabar hai tujhe o chain se sone vaale
raat bhar kaun tiri yaad mein bedaar rahaa
us bazm mein jo kuchh nazar aayaa nazar aayaa
ab kaun bataae ki hamein kyaa nazar aayaa
kabhi ye fikr ki vo yaad kyuun kareinge hamein
kabhi khayaal ki khat kaa javaab aaegaa
ai hijr vaqt Tal nahin saktaa hai maut kaa
lekin ye dekhnaa hai ki miTTi kahaan ki hai
haan haan tumhaare husn ki koi khataa nahin
main husn-e-ittifaaq se divaana ho gayaa