Shayari
kam zaraa na hone di ek lafz ki hurmat
ek ahd ki saari umr paasdaari ki
I
Ikram Mujeebis hasin manzar se dukh kai ubharne hain
dhuup jab utarni hai barf ke makaanon par
اس حسین منظر سے دکھ کئی ابھرنے ہیں
دھوپ جب اترنی ہے برف کے مکانوں پر
इस हसीन मंज़र से दुख कई उभरने हैं
धूप जब उतरनी है बर्फ़ के मकानों पर
kam zaraa na hone di ek lafz ki hurmat
ek ahd ki saari umr paasdaari ki
hijr ki masaafat mein saath tu rahaa har dam
duur ho gae tujh se jab tire qarin pahunche
kis qadar gunaahon ke murtakib hue hain ham
jo sukun luTtaa hai baar baar is ghar kaa
ek dard ki lazzat barqaraar rakhne ko
kuchh latif jazbon ki khuun se aabyaari ki