Shayari
is hasin manzar se dukh kai ubharne hain
dhuup jab utarni hai barf ke makaanon par
I
Ikram Mujeebhijr ki masaafat mein saath tu rahaa har dam
duur ho gae tujh se jab tire qarin pahunche
ہجر کی مسافت میں ساتھ تو رہا ہر دم
دور ہو گئے تجھ سے جب ترے قریں پہنچے
हिज्र की मसाफ़त में साथ तू रहा हर दम
दूर हो गए तुझ से जब तिरे क़रीं पहुँचे
is hasin manzar se dukh kai ubharne hain
dhuup jab utarni hai barf ke makaanon par
kam zaraa na hone di ek lafz ki hurmat
ek ahd ki saari umr paasdaari ki
kis qadar gunaahon ke murtakib hue hain ham
jo sukun luTtaa hai baar baar is ghar kaa
ek dard ki lazzat barqaraar rakhne ko
kuchh latif jazbon ki khuun se aabyaari ki
vo jin ki hijraton ke aaj bhi kuchh daagh raushan hain
unhi bichhDe parindon ko shajar vaapas bulaataa hai
khiDki kaa ye bhaari parda
hijr mein malmal ho jaataa hai
ab aa bhi jaao ki ik dusre mein gum ho jaaein
visaal-o-hijr kaa qissa bahut puraanaa huaa
yaa-rab gham-e-hijraan mein itnaa to kiyaa hotaa
jo haath jigar par hai vo dast-e-duaa hotaa
nuqta-e-injimaad ko pahunchaa
mausam-e-hijr dard-e-tanhaai
honaa hai dard-e-ishq se gar lazzat-aashnaa
dil ko kharaab-e-talkhi-e-hijraan to kijiye