Shayari
gulshan mein kaun bulbul-e-naalaan ko de panaah
gulchin o baaghbaan bhi hain sayyaad ki taraf
hasinon ki jafaaein bhi talavvun se nahin khaali
sitam ke baa'd karte hain karam aisaa bhi hotaa hai
حسینوں کی جفائیں بھی تلون سے نہیں خالی
ستم کے بعد کرتے ہیں کرم ایسا بھی ہوتا ہے
हसीनों की जफ़ाएँ भी तलव्वुन से नहीं ख़ाली
सितम के ब'अद करते हैं करम ऐसा भी होता है

gulshan mein kaun bulbul-e-naalaan ko de panaah
gulchin o baaghbaan bhi hain sayyaad ki taraf
kaisaa aanaa kaisaa jaanaa mere ghar kyaa aaoge
ghairon ke ghar jaane se tum fursat kis din paate ho
kartaa hai ai 'asar' dil-e-khun-gashta kaa gila
aashiq vo kyaa ki khasta-e-tegh-e-jafaa na ho
saath duniyaa kaa nahin taalib-e-duniyaa dete
apne kutton ko ye murdaar liye phirti hai
aaina dekh ke farmaate hain
kis ghazab ki hai javaani meri
dil ki haalat se khabar deti hai
'asar' aashufta-bayaani meri