Shayari
dekhaa hai mohabbat ko ibaadat ki nazar se
nafrat ke avaamil hamein maayub rahe hain
guhar samjhaa thaa lekin sang niklaa
kisi kaa zarf kitnaa tang niklaa
گہر سمجھا تھا لیکن سنگ نکلا
کسی کا ظرف کتنا تنگ نکلا
गुहर समझा था लेकिन संग निकला
किसी का ज़र्फ़ कितना तंग निकला

dekhaa hai mohabbat ko ibaadat ki nazar se
nafrat ke avaamil hamein maayub rahe hain
amn 'kaifi' ho nahin saktaa kabhi
jab talak zulm-o-sitam maujud hai
khizaan kaa daur bhi aataa hai ek din 'kaifi'
sadaa-bahaar kahaan tak darakht rahte hain
phulon kaa tabassum bhi vo pahlaa saa nahin hai
gulshan mein bhi chalti hai havaa aur tarah ki
mohabbaton ko bhi us ne khataa qaraar diyaa
magar ye jurm hamein baar baar karnaa hai
main aise husn-e-zan ko khudaa maantaa nahin
aahon ke ehtijaaj se jo maavaraa rahe