Shayari
sham-e-khema koi zanjir nahin ham-safaraan
jis ko jaanaa hai chalaa jaae ijaazat kaisi
bhuul jaaoge ki rahte the yahaan dusre log
kal phir aabaad kareinge ye makaan dusre log
بھول جاؤ گے کہ رہتے تھے یہاں دوسرے لوگ
کل پھر آباد کریں گے یہ مکاں دوسرے لوگ
भूल जाओगे कि रहते थे यहाँ दूसरे लोग
कल फिर आबाद करेंगे ये मकाँ दूसरे लोग

sham-e-khema koi zanjir nahin ham-safaraan
jis ko jaanaa hai chalaa jaae ijaazat kaisi
us ki aankhein hain ki ik Dubne vaalaa insaan
dusre Dubne vaale ko pukaare jaise
khiraaj maang rahi hai vo shaah-baanu-e-shahr
so ham bhi hadiya-e-dast-e-talab guzaarte hain
hoshiyaari dil-e-naadaan bahut kartaa hai
ranj kam sahtaa hai elaan bahut kartaa hai
ruup ki dhuup kahaan jaati hai maalum nahin
shaam kis tarah utar aati hai rukhsaaron par
nafrat ke khazaane mein to kuchh bhi nahin baaqi
thoDaa saa guzaare ke liye pyaar bachaaein