Shayari
hui thi ik khataa sarzad so us ko muddatein guzrin
magar ab tak mire dil se pashemaani nahin jaati
ranj o alam kaa lutf uThaane ke vaaste
raahat se bhi nibaah kiye jaa rahaa huun main
رنج و الم کا لطف اٹھانے کے واسطے
راحت سے بھی نباہ کیے جا رہا ہوں میں
रंज ओ अलम का लुत्फ़ उठाने के वास्ते
राहत से भी निबाह किए जा रहा हूँ मैं

hui thi ik khataa sarzad so us ko muddatein guzrin
magar ab tak mire dil se pashemaani nahin jaati
hai ye taqdir ki khubi ki nigaah-e-mushtaaq
pardaa ban jaae agar parda-nashin tak pahunche
ulfat ki thiin dalil tiri bad-gumaaniyaan
ab bad-gumaan main huun ki tu bad-gumaan nahin
hujum-e-ranj-o-gham ne is qadar mujh ko rulaayaa hai
ki ab raahat ki surat mujh se pahchaani nahin jaati