Shayari
ab kisi aur taraf baat ghumaane vaale
main samajhti huun tiri baat kaa matlab samjhe
mansub charaaghon se taraf-daar havaa ke
tum log munaafiq ho munaafiq bhi balaa ke
منسوب چراغوں سے طرفدار ہوا کے
تم لوگ منافق ہو منافق بھی بلا کے
मंसूब चराग़ों से तरफ़-दार हवा के
तुम लोग मुनाफ़िक़ हो मुनाफ़िक़ भी बला के

ab kisi aur taraf baat ghumaane vaale
main samajhti huun tiri baat kaa matlab samjhe
andhere kamre mein raqs karti rahegi vahshat
aur ek kone mein paarsaai paDi rahegi
main khaandaan ki paabandiyon se vaaqif thi
khudaa kaa shukr hai us shakhs ne vafaa nahin ki
ek din tujh ko aachaanak ye khabar aaegi
tere bimaar shifaa-yaab nahin ho paae
savaal kaun uThaaegaa munsifon pe huzur
bari hue sabhi mujrim gavaah qaid mein hai