Shayari
rasm ulTi hai khub-ruyon ki
dost jis ke bano vo dushman hai
tere aate hi dekh raahat-e-jaan
chain hai sabr hai qaraar hai aaj
تیرے آتے ہی دیکھ راحت جاں
چین ہے صبر ہے قرار ہے آج
तेरे आते ही देख राहत-ए-जाँ
चैन है सब्र है क़रार है आज

rasm ulTi hai khub-ruyon ki
dost jis ke bano vo dushman hai
ki riyaa se na shaikh ne tauba
mar gayaa vo gunaahgaar afsos
jis ko dekho vo nuur kaa buqa
ye paristaan hai ki london hai
pyaar ki baatein kijiye saahab
lutf sohbat kaa guftugu se hai
uThaayaa us ne biiDaa qatl kaa kuchh dil mein Thaanaa hai
chabaanaa paan kaa bhi khuun bahaane kaa bahaana hai
diyaa vo jo na thaa vahm-o-gumaan mein
bhalaa main aur kyaa maangun khudaa se