Shayari
shab-e-visaal mein he he vo un kaa sharmaa kar
dabi zabaan se kahnaa ki aarzu kyaa hai
M
Meer Mohammad Sultan Aaqilphiki hai teri nasihat saath mere ghul machaa
shor se naaseh namak aa jaaegaa taqrir mein
پھیکی ہے تیری نصیحت ساتھ میرے غل مچا
شور سے ناصح نمک آ جائے گا تقریر میں
फीकी है तेरी नसीहत साथ मेरे ग़ुल मचा
शोर से नासेह नमक आ जाएगा तक़रीर में
shab-e-visaal mein he he vo un kaa sharmaa kar
dabi zabaan se kahnaa ki aarzu kyaa hai
gaaliyaan diin us ne be-ginti hamein
ham ne bose bhi to gin gin ke liye
ilaahi tu bhi pyaaraa but bhi pyaaraa phir sunun kis ki
idhar kuchh shaikh kahtaa hai aur us jaanib barahman bhi
asal mein jalva ye kis kaa hai tu hi kah vaaiz
teraa rab aur sahi meraa sanam aur sahi
pechidgi-e-taba ki ye saaf hai dalil
maani ulajh ke rah gae un ke kalaam mein