Shayari
ham ko usi dayaar ki miTTi hui aziiz
naqshe mein jis kaa naam-pata ab nahin rahaa
teri auqaat hi kyaa 'midhat-ul-akhtar' sun le
shahr ke shahr zaminon ke tale dab gae hain
تیری اوقات ہی کیا مدحت الاختر سن لے
شہر کے شہر زمینوں کے تلے دب گئے ہیں
तेरी औक़ात ही क्या 'मिदहत-उल-अख़्तर' सुन ले
शहर के शहर ज़मीनों के तले दब गए हैं

ham ko usi dayaar ki miTTi hui aziiz
naqshe mein jis kaa naam-pata ab nahin rahaa
laai hai kahaan mujh ko tabiat ki do-rangi
duniyaa kaa talabgaar bhi duniyaa se khafaa bhi
tu samajhtaa hai mujhe harf-e-mukarrar lekin
main sahifa huun tire dil pe utarne vaalaa
jism us ki god mein ho ruuh tere ru-ba-ru
faahisha ke garm bistar par riyaa-kaari karun
aankhein hain magar khvaab se mahrum hain 'midhat'
tasvir kaa rishta nahin rangon se zaraa bhi
jaane vaale mujhe kuchh apni nishaani de jaa
ruuh pyaasi na rahe aankh mein paani de jaa