Shayari
khud rahm kijiye dil-e-ummid-vaar par
aaphi nikaaliye koi surat nibaah ki
M
Mirza Maseeta Beg Muntahihai daulat-e-husn paas tere
detaa nahin kyuun zakaat is ki
ہے دولت حسن پاس تیرے
دیتا نہیں کیوں زکوٰۃ اس کی
है दौलत-ए-हुस्न पास तेरे
देता नहीं क्यूँ ज़कात इस की
khud rahm kijiye dil-e-ummid-vaar par
aaphi nikaaliye koi surat nibaah ki
tere baazaar-e-dahr mein gardun
ham bhi aae hain ik qabaa ke liye
jalaa kar zaahidon ko mai-kashon ko shaad karte hain
giraa kar masjidon ko mai-kade aabaad karte hain
piiri hui shabaab se utraa jhaTak gayaa
shaaer huun meraa misra-e-saani laTak gayaa
baad marne ke Thikaane lag gai miTTi miri
khaak se aashiq ki kyaa kyaa yaar ke saaghar bane
tohmat-e-jurm-o-khataa hirs-o-havaa ghaflat-e-dil
ham ne baazaar se hasti ke liyaa kyaa kyaa kuchh