Shayari
tere baazaar-e-dahr mein gardun
ham bhi aae hain ik qabaa ke liye
M
Mirza Maseeta Beg Muntahitohmat-e-jurm-o-khataa hirs-o-havaa ghaflat-e-dil
ham ne baazaar se hasti ke liyaa kyaa kyaa kuchh
تہمت جرم و خطا حرص و ہوا غفلت دل
ہم نے بازار سے ہستی کے لیا کیا کیا کچھ
तोहमत-ए-जुर्म-ओ-ख़ता हिर्स-ओ-हवा ग़फ़लत-ए-दिल
हम ने बाज़ार से हस्ती के लिया क्या क्या कुछ
tere baazaar-e-dahr mein gardun
ham bhi aae hain ik qabaa ke liye
jalaa kar zaahidon ko mai-kashon ko shaad karte hain
giraa kar masjidon ko mai-kade aabaad karte hain
piiri hui shabaab se utraa jhaTak gayaa
shaaer huun meraa misra-e-saani laTak gayaa
baad marne ke Thikaane lag gai miTTi miri
khaak se aashiq ki kyaa kyaa yaar ke saaghar bane
asiir kar ke hamein hukm de gayaa sayyaad
qafas ho tang to un ke na baal-o-par rakhnaa
khud rahm kijiye dil-e-ummid-vaar par
aaphi nikaaliye koi surat nibaah ki
gham-e-aarzu kaa 'hasrat' sabab aur kyaa bataaun
miri himmaton ki pasti mire shauq ki bulandi
shaa'iri kyaa hai miri jaan tujhe maa'lum nahin
ek tohmat hai jo mujh par bhi lagaa di gai hai
de hausle ki daad ki ham tere gham mein aaj
baiThe hain mahfilon ko sajaae tire baghair
vo utar gae the jo paar khud mujhe biich bahr mein chhoD kar
thaa jo un mein itnaa hi hausla mujhe Dubtaa bhi to dekhte
manzil na de charaagh na de hausla to de
tinke kaa hi sahi tu magar aasraa to de
tum ham-safar hue to hui zindagi aziiz
mujh mein to zindagi kaa koi hausla na thaa