Shayari
ishq mein kuudo agar shauq hai marne kaa bahut
is se gahri koi khaai mujhe maalum nahin
bahut jhuk jhuk ke chaltaa huun main in baunon ki basti mein
ye chhoTaa-pan kabhi mujh ko baDaa hone nahin detaa
بہت جھک جھک کے چلتا ہوں میں ان بونوں کی بستی میں
یہ چھوٹا پن کبھی مجھ کو بڑا ہونے نہیں دیتا
बहुत झुक झुक के चलता हूँ मैं इन बौनों की बस्ती में
ये छोटा-पन कभी मुझ को बड़ा होने नहीं देता

ishq mein kuudo agar shauq hai marne kaa bahut
is se gahri koi khaai mujhe maalum nahin
kuchh chhalaktaa hai kuchh bikhartaa hai
sab mile to bhi sab nahin miltaa
aati jaati hai vo ab saans ki surat mujh mein
kab gai aur kab aai mujhe maalum nahin
aankhon mein us ki main ne aakhir malaal dekhaa
kin kin bulandiyon par apnaa zavaal dekhaa
aasmaanon mein uDaa karte hain phule phule
halke logon ke baDe kaam havaa karti hai
hamaare dil ko ab taaqat nahin sadme uThaane ki
bahut bhaane lage jo us se milnaa chhoD dete hain