Shayari
kuchh chhalaktaa hai kuchh bikhartaa hai
sab mile to bhi sab nahin miltaa
ishq mein kuudo agar shauq hai marne kaa bahut
is se gahri koi khaai mujhe maalum nahin
عشق میں کودو اگر شوق ہے مرنے کا بہت
اس سے گہری کوئی کھائی مجھے معلوم نہیں
इश्क़ में कूदो अगर शौक़ है मरने का बहुत
इस से गहरी कोई खाई मुझे मालूम नहीं

kuchh chhalaktaa hai kuchh bikhartaa hai
sab mile to bhi sab nahin miltaa
aati jaati hai vo ab saans ki surat mujh mein
kab gai aur kab aai mujhe maalum nahin
aankhon mein us ki main ne aakhir malaal dekhaa
kin kin bulandiyon par apnaa zavaal dekhaa
aasmaanon mein uDaa karte hain phule phule
halke logon ke baDe kaam havaa karti hai
kam maarka-e-zist nahin jang-e-uhad se
asbaab-e-jahaan maal-e-ghanimat ki tarah hai
hamaare dil ko ab taaqat nahin sadme uThaane ki
bahut bhaane lage jo us se milnaa chhoD dete hain
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
saamne us ke na kahte magar ab kahte hain
lazzat-e-ishq gai ghair ke mar jaane se
jaante hain ham mohabbat-aazmaai ho chuki
aao lag jaao gale bas ab laDaai ho chuki
siine mein dil hai dil mein daagh daagh mein soz-o-saaz-e-ishq
parda-ba-parda hai nihaan parda-nashin kaa raaz-e-ishq
ishq hai ahd-e-javaani ke liye
ahd-e-piri ke taqaaze aur hain