Shayari
tu bahut khush nazar aataa hai mujhe itnaa bataa
mujh se pahle bhi koi shakhs yahaan aayaa thaa
hazaaron aankhein mujhe be-zabaan samajhti hain
jo dekhtaa hai main us ko sunaai detaa huun
ہزاروں آنکھیں مجھے بے زباں سمجھتی ہیں
جو دیکھتا ہے میں اس کو سنائی دیتا ہوں
हज़ारों आँखें मुझे बे-ज़बाँ समझती हैं
जो देखता है मैं उस को सुनाई देता हूँ

tu bahut khush nazar aataa hai mujhe itnaa bataa
mujh se pahle bhi koi shakhs yahaan aayaa thaa
main na miltaa agar masaafat ko
raaste ki thakan kahaan jaati
nuur se duur siyah-raat mein zinda rahnaa
kitnaa mushkil hai mazaafaat mein zinda rahnaa
ye kamra band hai chaaron taraf se
udaasi kis taraf se aa rahi hai
shahr chhoTaa hai magar dil hai kushaada itnaa
ham baDe shahr mein hote to samundar hote
raaste ki nami bataati hai
aabla-paa yahaan se guzre hain