Shayari
khuub taazir-e-gunaah-e-ishq hai
naqd-e-jaan lenaa yahaan jurmaana hai
mahrum huun main khidmat-e-ustaad se 'munir'
kalkatta mujh ko gor se bhi tang ho gayaa
محروم ہوں میں خدمت استاد سے منیرؔ
کلکتہ مجھ کو گور سے بھی تنگ ہو گیا
महरूम हूँ मैं ख़िदमत-ए-उस्ताद से 'मुनीर'
कलकत्ता मुझ को गोर से भी तंग हो गया

khuub taazir-e-gunaah-e-ishq hai
naqd-e-jaan lenaa yahaan jurmaana hai
sunti hai roz naghma-e-zanjir-e-aashiqaan
vo zulf bhi hai silsila-e-ahl-e-chisht mein
jis roz main gintaa huun tire aane ki ghaDiyaan
suraj ko banaa deti hai sone ki ghaDi baat
haath milvaate ho tarsaae gilauri ke liye
kaf-e-afsos na mal jaae kahin paanv mein
jab kabhi maski kaTori kyaa sadaa paidaa hui
karti hai angiyaa ki chiDiyaa chahchahaane ki havas
ho gayaa maamur aalam jab kiyaa darbaar-e-aam
takhliya chaahaa to duniyaa saaf khaali ho gai