Shayari
miri to saari duniyaa bas tumhi ho
ghalat kyaa hai jo duniyaa-daar huun main
mujh ko khud mein jagah nahin milti
tu hai maujud is qadar mujh mein
مجھ کو خود میں جگہ نہیں ملتی
تو ہے موجود اس قدر مجھ میں
मुझ को ख़ुद में जगह नहीं मिलती
तू है मौजूद इस क़दर मुझ में

miri to saari duniyaa bas tumhi ho
ghalat kyaa hai jo duniyaa-daar huun main
tere bin ghaDiyaan gini hain raat din
nau baras gyaarah mahine saat din
shajar ne puchhaa ki tujh mein ye kis ki khushbu hai
havaa-e-shaam-e-alam ne kahaa udaasi ki
vo pahle sirf miri aankh mein samaayaa thaa
phir ek roz ragon tak utar gayaa mujh mein
tum to darvaaza khulaa dekh ke dar aae ho
tum ne dekhaa nahin divaar ko dar hone tak
kahaani khatm hui aur aisi khatm hui
ki log rone lage taaliyaan bajaate hue