Sher
"agar yunhi mujhe rakkha gaya akele men baramad aur koi is makan se hoga"
"faqat mal-o-zar-e-divar-o-dar achchha nahin lagta jahan bachche nahin hote vo ghar achchha nahin lagta"
فقط مال و زر دیوار و در اچھا نہیں لگتا جہاں بچے نہیں ہوتے وہ گھر اچھا نہیں لگتا
फ़क़त माल-ओ-ज़र-ए-दीवार-ओ-दर अच्छा नहीं लगता जहाँ बच्चे नहीं होते वो घर अच्छा नहीं लगता

"agar yunhi mujhe rakkha gaya akele men baramad aur koi is makan se hoga"
"ik mohabbat hi pe mauquf nahin hai 'tabish' kuchh baDe faisle ho jaate hain nadani men"
"tiri mohabbat men gumrahi ka ajab nasha tha ki tujh tak aate hue khuda tak pahunch ga.e hain"
"kyuun na ai shakhs tujhe haath laga kar dekhun tu mire vahm se baDh kar bhi to ho sakta hai"
"pas-e-ghubar bhi uDta ghubar apna tha tire bahane hamen intizar apna tha"
"ek mohabbat aur vo bhi nakam mohabbat lekin is se kaam chalaya ja sakta hai"