Sher
"agar yunhi mujhe rakkha gaya akele men baramad aur koi is makan se hoga"
"main jis sukun se baiTha huun is kinare par sukun se lagta hai mera qayam akhiri hai"
میں جس سکون سے بیٹھا ہوں اس کنارے پر سکوں سے لگتا ہے میرا قیام آخری ہے
मैं जिस सुकून से बैठा हूँ इस किनारे पर सुकूँ से लगता है मेरा क़याम आख़िरी है

"agar yunhi mujhe rakkha gaya akele men baramad aur koi is makan se hoga"
"ik mohabbat hi pe mauquf nahin hai 'tabish' kuchh baDe faisle ho jaate hain nadani men"
"tiri mohabbat men gumrahi ka ajab nasha tha ki tujh tak aate hue khuda tak pahunch ga.e hain"
"kyuun na ai shakhs tujhe haath laga kar dekhun tu mire vahm se baDh kar bhi to ho sakta hai"
"pas-e-ghubar bhi uDta ghubar apna tha tire bahane hamen intizar apna tha"
"ek mohabbat aur vo bhi nakam mohabbat lekin is se kaam chalaya ja sakta hai"