Sher
"agar yunhi mujhe rakkha gaya akele men baramad aur koi is makan se hoga"
"mohabbat ek dam dukh ka mudava kar nahin deti ye titli baiThti hai zakhm par ahista ahista"
محبت ایک دم دکھ کا مداوا کر نہیں دیتی یہ تتلی بیٹھتی ہے زخم پر آہستہ آہستہ
मोहब्बत एक दम दुख का मुदावा कर नहीं देती ये तितली बैठती है ज़ख़्म पर आहिस्ता आहिस्ता

"agar yunhi mujhe rakkha gaya akele men baramad aur koi is makan se hoga"
"ik mohabbat hi pe mauquf nahin hai 'tabish' kuchh baDe faisle ho jaate hain nadani men"
"tiri mohabbat men gumrahi ka ajab nasha tha ki tujh tak aate hue khuda tak pahunch ga.e hain"
"kyuun na ai shakhs tujhe haath laga kar dekhun tu mire vahm se baDh kar bhi to ho sakta hai"
"pas-e-ghubar bhi uDta ghubar apna tha tire bahane hamen intizar apna tha"
"ek mohabbat aur vo bhi nakam mohabbat lekin is se kaam chalaya ja sakta hai"