Sher
"agar yunhi mujhe rakkha gaya akele men baramad aur koi is makan se hoga"
"pahle to ham chhan aa.e khaak saare shahr ki tab kahin ja kar khula us ka makan hai samne"
پہلے تو ہم چھان آئے خاک سارے شہر کی تب کہیں جا کر کھلا اس کا مکاں ہے سامنے
पहले तो हम छान आए ख़ाक सारे शहर की तब कहीं जा कर खुला उस का मकाँ है सामने

"agar yunhi mujhe rakkha gaya akele men baramad aur koi is makan se hoga"
"ik mohabbat hi pe mauquf nahin hai 'tabish' kuchh baDe faisle ho jaate hain nadani men"
"tiri mohabbat men gumrahi ka ajab nasha tha ki tujh tak aate hue khuda tak pahunch ga.e hain"
"kyuun na ai shakhs tujhe haath laga kar dekhun tu mire vahm se baDh kar bhi to ho sakta hai"
"pas-e-ghubar bhi uDta ghubar apna tha tire bahane hamen intizar apna tha"
"ek mohabbat aur vo bhi nakam mohabbat lekin is se kaam chalaya ja sakta hai"