Sher
"agar yunhi mujhe rakkha gaya akele men baramad aur koi is makan se hoga"
"raat ko jab yaad aa.e teri khushbu-e-qaba tere qisse chheDte hain raat ki raani se ham"
رات کو جب یاد آئے تیری خوشبوئے قبا تیرے قصے چھیڑتے ہیں رات کی رانی سے ہم
रात को जब याद आए तेरी ख़ुशबू-ए-क़बा तेरे क़िस्से छेड़ते हैं रात की रानी से हम

"agar yunhi mujhe rakkha gaya akele men baramad aur koi is makan se hoga"
"ik mohabbat hi pe mauquf nahin hai 'tabish' kuchh baDe faisle ho jaate hain nadani men"
"tiri mohabbat men gumrahi ka ajab nasha tha ki tujh tak aate hue khuda tak pahunch ga.e hain"
"kyuun na ai shakhs tujhe haath laga kar dekhun tu mire vahm se baDh kar bhi to ho sakta hai"
"pas-e-ghubar bhi uDta ghubar apna tha tire bahane hamen intizar apna tha"
"ek mohabbat aur vo bhi nakam mohabbat lekin is se kaam chalaya ja sakta hai"