Quote
"aa.i khizan ki yaad to dil sard ho gaya kuchh der bhi to lutf na aaya bahar ka"
A
Abdul Hai Aarfi"miri har aah ah-e-be-asar hai vafur-e-yas teri bad-gumani"
مری ہر آہ آہ بے اثر ہے وفور یاس تیری بد گمانی
मिरी हर आह आह-ए-बे-असर है वफ़ूर-ए-यास तेरी बद-गुमानी
"aa.i khizan ki yaad to dil sard ho gaya kuchh der bhi to lutf na aaya bahar ka"
"mohabbat khud mohabbat ka sila hai 'arfi' lekin koi asan hai kya be-niyaz-e-mudda.a hona"
"ek hi phuul tha bas gul-kada-e-husn men tu chun liya aankh men apni tire shaida.i ne"
"dil ko tapish-e-shauq ki ye lazzat-e-paiham mil to ga.i lekin baDi mushkil se mili hai"
"bahut badla mazaq-e-dil khayal-e-yar ne lekin jo shayan-e-mazaq-e-yar tha aisa kahan badla"
"hai 'arfi' ab ye asar-e-tark-e-tamanna aane lage vo aur bhi kuchh had se siva yaad"