Sher
"aa.i khizan ki yaad to dil sard ho gaya kuchh der bhi to lutf na aaya bahar ka"
A
Abdul Hai Aarfi"mohabbat khud mohabbat ka sila hai 'arfi' lekin koi asan hai kya be-niyaz-e-mudda.a hona"
محبت خود محبت کا صلہ ہے عارفیؔ لیکن کوئی آسان ہے کیا بے نیاز مدعا ہونا
मोहब्बत ख़ुद मोहब्बत का सिला है 'आरफ़ी' लेकिन कोई आसान है क्या बे-नियाज़-ए-मुद्दआ होना
"aa.i khizan ki yaad to dil sard ho gaya kuchh der bhi to lutf na aaya bahar ka"
"zara ai josh-e-gham rahne de qaabu men zaban meri vo sunna chahte hain khud mujhi se dastan meri"
"jitni tavaqquat thiin sab khatm ho chukin main 'arfi' kisi se bhi ab sargiran nahin"
"toDna tauba ka sau baar bhi asan tha magar jam-e-mai mujh se to ik baar bhi toDa na gaya"
"sukun-e-iztirab-e-gham pe chara-saz to khush hain dil-e-betab ki lekin qaza ma.alum hoti hai"
"ab mire vaste har mauj hai aghosh-e-sukun bahr-e-gham men jo nahin hai koi sahil na sahi"