Sher
"zara ai josh-e-gham rahne de qaabu men zaban meri vo sunna chahte hain khud mujhi se dastan meri"
A
Abdul Hai Aarfi"aa.i khizan ki yaad to dil sard ho gaya kuchh der bhi to lutf na aaya bahar ka"
آئی خزاں کی یاد تو دل سرد ہو گیا کچھ دیر بھی تو لطف نہ آیا بہار کا
आई ख़िज़ाँ की याद तो दिल सर्द हो गया कुछ देर भी तो लुत्फ़ न आया बहार का
"zara ai josh-e-gham rahne de qaabu men zaban meri vo sunna chahte hain khud mujhi se dastan meri"
"jitni tavaqquat thiin sab khatm ho chukin main 'arfi' kisi se bhi ab sargiran nahin"
"toDna tauba ka sau baar bhi asan tha magar jam-e-mai mujh se to ik baar bhi toDa na gaya"
"sukun-e-iztirab-e-gham pe chara-saz to khush hain dil-e-betab ki lekin qaza ma.alum hoti hai"
"ab mire vaste har mauj hai aghosh-e-sukun bahr-e-gham men jo nahin hai koi sahil na sahi"
"miri har aah ah-e-be-asar hai vafur-e-yas teri bad-gumani"