Sher
"palaT aata huun main mayus ho kar un maqamon se jahan se silsila nazdik-tar hota hai manzil ka"
"ankhon men ashk daagh jigar men labon pe aah sab kuchh hai paas be-sar-o-saman nahin hain ham"
آنکھوں میں اشک داغ جگر میں لبوں پہ آہ سب کچھ ہے پاس بے سر و ساماں نہیں ہیں ہم
आँखों में अश्क दाग़ जिगर में लबों पे आह सब कुछ है पास बे-सर-ओ-सामाँ नहीं हैं हम

"palaT aata huun main mayus ho kar un maqamon se jahan se silsila nazdik-tar hota hai manzil ka"
"tum kyon udaas ho ga.e maidan-e-hashr men kah do to dil ki dil men miri dastan rahe"
"shayad is baat pe lab mere siye jaate hain aah ke saath nikal jaa.e na arman koi"
"vahshiyon ko ye sabaq deti hui aa.i bahar taar baaqi na rahe koi garebanon men"
"kaun ab kashmakash-e-zist se de mujh ko najat kar chuka hai mira qatil nazar-andaz mujhe"
"ishq men aur bhi divana bana deti hai meri avaz men mil kar tiri avaz mujhe"