Sher
"shahr ka shahr ye pichhe jo paDa hai mere tere divane men kuchh baat to hoti hogi"
A
Ahsan Gulfam"ab kahan milta hai ashiq koi sachcha sahab zakhm hi koi laga den mujhe achchha sahab"
اب کہاں ملتا ہے عاشق کوئی سچا صاحب زخم ہی کوئی لگا دیں مجھے اچھا صاحب
अब कहाँ मिलता है आशिक़ कोई सच्चा साहब ज़ख़्म ही कोई लगा दें मुझे अच्छा साहब
"shahr ka shahr ye pichhe jo paDa hai mere tere divane men kuchh baat to hoti hogi"
"ye sha.iri ka takalluf badan pe achchha libas sab iltizam usi ek be-vafa ke liye"
"itni mahnga.i hai marna bhi agar chahun to zahr milta nahin bazar men sasta sahab"
"kahne ko faqat ibn-e-ali ibn-e-ali hain dekho to kahin jazba-e-haidar nahin milta"
"mujh ko da.ava nahin yusuf sa hasin hone ka phir bhi hai mera zulekhaon men charcha sahab"
"rahne ko apne paas koi chhat nahin magar chiDiyon ke chahchahane ko angan bana diya"