Sher
"thi titliyon ke ta.aqub men zindagi meri vo shahr kya hua jis ki thi har gali meri"
"kuchh itne ho ga.e manus sannaTon se ham 'akhtar' guzarti hai giran apni sada bhi ab to kanon par"
کچھ اتنے ہو گئے مانوس سناٹوں سے ہم اخترؔ گزرتی ہے گراں اپنی صدا بھی اب تو کانوں پر
कुछ इतने हो गए मानूस सन्नाटों से हम 'अख़्तर' गुज़रती है गिराँ अपनी सदा भी अब तो कानों पर

"thi titliyon ke ta.aqub men zindagi meri vo shahr kya hua jis ki thi har gali meri"
"guzarte vaqt ne kya kya na chara-sazi ki vagarna zakhm jo us ne diya tha kaari tha"
"ye kya ki mujh ko chhupaya hai meri nazron se kabhi to mujh ko mire samne bhi laa.e vo"
"kya log hain ki dil ki girah kholte nahin ankhon se dekhte hain magar bolte nahin"
"hamen khabar hai koi ham-safar na tha phir bhi yaqin ki manzilen tai kiin guman ke hote hue"
"log nazron ko bhi paDh lete hain apni ankhon ko jhuka.e rakhna"