Sher
"ab dard men vo kaifiyat-e-dard nahin hai aaya huun jo us bazm-e-gul-afshan se guzar ke"
"dayar-e-sajda men taqlid ka rivaj bhi hai jahan jhuki hai jabin un ka naqsh-e-pa to nahin"
دیار سجدہ میں تقلید کا رواج بھی ہے جہاں جھکی ہے جبیں ان کا نقش پا تو نہیں
दयार-ए-सज्दा में तक़लीद का रिवाज भी है जहाँ झुकी है जबीं उन का नक़्श-ए-पा तो नहीं

"ab dard men vo kaifiyat-e-dard nahin hai aaya huun jo us bazm-e-gul-afshan se guzar ke"
"dil ka lahu nigah se Tapka hai bar-ha ham rah-e-gham men aisi bhi manzil se aa.e hain"
"shauq-e-manzil ham-safar hai jazba-e-dil rahbar mujh pe khud bhi khul nahin paata kidhar jaata huun main"
"hijr ki raat ye har Dubte taare ne kaha ham na kahte the na a.enge vo aa.e to nahin"
"ham ahl-e-dil ne me.ayar-e-mohabbat bhi badal Daale jo gham har fard ka gham hai usi ko gham samajhte hain"
"lazzat-e-dard mili ishrat-e-ehsas mili kaun kahta hai ham us bazm se nakam aa.e"