Sher
"bazm-e-yaran hai ye saaqi mai nahin to gham na kar kitne hain jo mai-kada bar-dosh hain yaron ke biich"
"arz-e-dakan men jaan to dilli men dil bani aur shahr-e-lucknow men hina ban ga.i ghazal"
ارض دکن میں جان تو دلی میں دل بنی اور شہر لکھنؤ میں حنا بن گئی غزل
अर्ज़-ए-दकन में जान तो दिल्ली में दिल बनी और शहर-ए-लखनऊ में हिना बन गई ग़ज़ल

"bazm-e-yaran hai ye saaqi mai nahin to gham na kar kitne hain jo mai-kada bar-dosh hain yaron ke biich"
"sub.h hain sajde men ham to shaam saaqi ke huzur bandagi apni jagah aur mai-kashi apni jagah"
"dil-e-gham-zada pe guzar gaya hai vo hadsa ki mire liye na to gham raha na khushi rahi na junun raha na pari rahi"
"pattharon ke des men shishe ka hai apna vaqar devta apni jagah aur aadmi apni jagah"
"sanson ki jal-tarang par naghma-e-ishq gaa.e ja ai miri jan-e-arzu tu yunhi muskura.e ja"
"vahi 'tarz' tujh pe rahim hai ye usi ka faiz-e-karim hai ki asatiza ke bhi rang men jo ghazal kahi vo khari rahi"