Sher
"ye khule khule se gesu inhen laakh tu sanvare mire haath se sanvarte to kuchh aur baat hoti"
K
Kaifi Wijdani"bacha liya tiri khushbu ke farq ne varna main tere vahm men tujh se lipaTne vaala tha"
بچا لیا تری خوشبو کے فرق نے ورنہ میں تیرے وہم میں تجھ سے لپٹنے والا تھا
बचा लिया तिरी ख़ुश्बू के फ़र्क़ ने वर्ना मैं तेरे वहम में तुझ से लिपटने वाला था
"ye khule khule se gesu inhen laakh tu sanvare mire haath se sanvarte to kuchh aur baat hoti"
"sirf darvaze talak ja ke hi lauT aaya huun aisa lagta hai ki sadiyon ka safar kar aaya"
"khud hi uchhalun patthar khud hi sar par le luun jab chahun suune mausam se manzar le luun"
"basti men gharibon ki jahan aag lagi thi sunte hain vahan ek naya shahr basega"
"tamam-shahr jise chhoDne ko aaya hai vo shakhs kitna akela safar pe niklega"
"mere raste men jo raunaq thi mere fan ki thi mere ghar men jo andhera tha mera apna tha"