Sher
"ye khule khule se gesu inhen laakh tu sanvare mire haath se sanvarte to kuchh aur baat hoti"
K
Kaifi Wijdani"basti men gharibon ki jahan aag lagi thi sunte hain vahan ek naya shahr basega"
بستی میں غریبوں کی جہاں آگ لگی تھی سنتے ہیں وہاں ایک نیا شہر بسے گا
बस्ती में ग़रीबों की जहाँ आग लगी थी सुनते हैं वहाँ एक नया शहर बसेगा
"ye khule khule se gesu inhen laakh tu sanvare mire haath se sanvarte to kuchh aur baat hoti"
"sirf darvaze talak ja ke hi lauT aaya huun aisa lagta hai ki sadiyon ka safar kar aaya"
"khud hi uchhalun patthar khud hi sar par le luun jab chahun suune mausam se manzar le luun"
"bacha liya tiri khushbu ke farq ne varna main tere vahm men tujh se lipaTne vaala tha"
"tamam-shahr jise chhoDne ko aaya hai vo shakhs kitna akela safar pe niklega"
"mere raste men jo raunaq thi mere fan ki thi mere ghar men jo andhera tha mera apna tha"