Sher
"ye khule khule se gesu inhen laakh tu sanvare mire haath se sanvarte to kuchh aur baat hoti"
K
Kaifi Wijdani"tamam-shahr jise chhoDne ko aaya hai vo shakhs kitna akela safar pe niklega"
تمام شہر جسے چھوڑنے کو آیا ہے وہ شخص کتنا اکیلا سفر پہ نکلے گا
तमाम-शहर जिसे छोड़ने को आया है वो शख़्स कितना अकेला सफ़र पे निकलेगा
"ye khule khule se gesu inhen laakh tu sanvare mire haath se sanvarte to kuchh aur baat hoti"
"sirf darvaze talak ja ke hi lauT aaya huun aisa lagta hai ki sadiyon ka safar kar aaya"
"khud hi uchhalun patthar khud hi sar par le luun jab chahun suune mausam se manzar le luun"
"bacha liya tiri khushbu ke farq ne varna main tere vahm men tujh se lipaTne vaala tha"
"basti men gharibon ki jahan aag lagi thi sunte hain vahan ek naya shahr basega"
"mere raste men jo raunaq thi mere fan ki thi mere ghar men jo andhera tha mera apna tha"