Quote
"ye kahna tha un se mohabbat hai mujh ko ye kahne men mujh ko zamane lage hain"
"ik aansu kah gaya sab haal dil ka na samjha tha ye zalim be-zaban hai"
اک آنسو کہہ گیا سب حال دل کا نہ سمجھا تھا یہ ظالم بے زباں ہے
इक आँसू कह गया सब हाल दिल का न समझा था ये ज़ालिम बे-ज़बाँ है

"ye kahna tha un se mohabbat hai mujh ko ye kahne men mujh ko zamane lage hain"
"khuda bacha.e tiri mast mast ankhon se farishta ho to bahak jaa.e aadmi kya hai"
"jalte diyon men jalte gharon jaisi zau kahan sarkar raushni ka maza ham se puchhiye"
"dua ye hai na hon gumrah ham-safar mere 'khumar' main ne to apna safar tamam kiya"
"'ishq men sahme hue do ashna muddaton anjan nazar aa.e hain"
"dushmanon se pyaar hota ja.ega doston ko azmate ja.iye"