Sher
"dil hai ki tire paanv se pazeb giri hai sunta huun bahut der se jhankar kahin ki"
"chehre hain ki sau rang men hote hain numayan a.ine magar koi siyasat nahin karte"
چہرے ہیں کہ سو رنگ میں ہوتے ہیں نمایاں آئینے مگر کوئی سیاست نہیں کرتے
चेहरे हैं कि सौ रंग में होते हैं नुमायाँ आईने मगर कोई सियासत नहीं करते

"dil hai ki tire paanv se pazeb giri hai sunta huun bahut der se jhankar kahin ki"
"dard ka za.iqa bata.un kya ye ilaqa zaban se bahar hai"
"dalilen chhin kar mere labon se vo mujh ko mujh se behtar kaTta hai"
"zindagi! tujh ko magar sharm nahin aati kya kaisi kaisi tiri tasvir nikal aa.i hai"
"sahil se suna karte hain lahron ki kahani ye Thahre hue log baghavat nahin karte"
"yahan to rasm hai zindon ko dafn karne ki kisi bhi qabr se murda kahan nikalta hai"