Sher
"ham tujh se kis havas ki falak justuju karen dil hi nahin raha hai jo kuchh aarzu karen"
"dard-e-dil ke vaste paida kiya insan ko varna taa.at ke liye kuchh kam na the karr-o-bayan"
درد دل کے واسطے پیدا کیا انسان کو ورنہ طاعت کے لیے کچھ کم نہ تھے کر و بیاں
दर्द-ए-दिल के वास्ते पैदा किया इंसान को वर्ना ताअत के लिए कुछ कम न थे कर्र-ओ-बयाँ

"ham tujh se kis havas ki falak justuju karen dil hi nahin raha hai jo kuchh aarzu karen"
"haal mujh gham-zada ka jis jis ne jab suna hoga ro diya hoga"
"nahin shikva mujhe kuchh bevafa.i ka tiri hargiz gila tab ho agar tu ne kisi se bhi nibha.i ho"
"aziyyat musibat malamat bala.en tire ishq men ham ne kya kya na dekha"
"hai ghalat gar guman men kuchh hai tujh siva bhi jahan men kuchh hai"
"vahdat men teri harf dui ka na aa sake a.ina kya majal tujhe munh dikha sake"