Sher
"hamare aib men jis se madad mile ham ko hamen hai aaj kal aise kisi hunar ki talash"
N
Natiq Gulavthi"hamen jo yaad hai ham to usi se kaam lete hain kisi ka naam lena ho usi ka naam lete hain"
ہمیں جو یاد ہے ہم تو اسی سے کام لیتے ہیں کسی کا نام لینا ہو اسی کا نام لیتے ہیں
हमें जो याद है हम तो उसी से काम लेते हैं किसी का नाम लेना हो उसी का नाम लेते हैं
"hamare aib men jis se madad mile ham ko hamen hai aaj kal aise kisi hunar ki talash"
"ham to masjid se bhi mayus hi aa.e 'natiq' koi allah ka banda to musalman hota"
"be-khud-e-shauq huun aata hai khuda yaad mujhe rasta bhuul ke baiTha huun sanam-khane ka"
"ab main kya tum se apna haal kahun ba-khuda yaad bhi nahin mujh ko"
"aise bohtan laga.e ki khuda yaad aaya but ne ghabra ke kaha mujh se ki qur.an uTha"
"tum aise achchhe ki achchhe nahin kisi ke saath main vo bura ki kisi ka bura nahin karta"