Sher
"ham to masjid se bhi mayus hi aa.e 'natiq' koi allah ka banda to musalman hota"
N
Natiq Gulavthi"tum aise achchhe ki achchhe nahin kisi ke saath main vo bura ki kisi ka bura nahin karta"
تم ایسے اچھے کہ اچھے نہیں کسی کے ساتھ میں وہ برا کہ کسی کا برا نہیں کرتا
तुम ऐसे अच्छे कि अच्छे नहीं किसी के साथ मैं वो बुरा कि किसी का बुरा नहीं करता
"ham to masjid se bhi mayus hi aa.e 'natiq' koi allah ka banda to musalman hota"
"hamen jo yaad hai ham to usi se kaam lete hain kisi ka naam lena ho usi ka naam lete hain"
"be-khud-e-shauq huun aata hai khuda yaad mujhe rasta bhuul ke baiTha huun sanam-khane ka"
"ab main kya tum se apna haal kahun ba-khuda yaad bhi nahin mujh ko"
"aise bohtan laga.e ki khuda yaad aaya but ne ghabra ke kaha mujh se ki qur.an uTha"
"hamare aib men jis se madad mile ham ko hamen hai aaj kal aise kisi hunar ki talash"