Sher
"main tinkon ka daman pakaDta nahin huun mohabbat men Duuba to kaisa sahara"
"zindagi qarib hai kis qadar jamal se jab koi sanvar gaya zindagi sanvar ga.i"
زندگی قریب ہے کس قدر جمال سے جب کوئی سنور گیا زندگی سنور گئی
ज़िंदगी क़रीब है किस क़दर जमाल से जब कोई सँवर गया ज़िंदगी सँवर गई

"main tinkon ka daman pakaDta nahin huun mohabbat men Duuba to kaisa sahara"
"zamana yaad kare ya saba kare khamosh ham ik charagh-e-mohabbat jala.e jaate hain"
"taghayyurat ke aalam men zindagani hai shabab faani nazar faani husn faani hai"
"ek rishta bhi mohabbat ka agar TuuT gaya dekhte dekhte shiraza bikhar jaata hai"
"khaak aur khuun se ik sham.a jala.i hai 'nushur' maut se ham ne bhi sikhi hai hayat-ara.i"
"zindagi parchha.iyan apni liye a.inon ke darmiyan se aa.i hai"