Sher
"dekh qasid ko mire yaar ne puchha 'taban' kya mire hijr men jiita hai vo ghamnak hanuz"
"ka.i faqon men eid aa.i hai aaj tu ho to jaan ham-aghosh"
کئی فاقوں میں عید آئی ہے آج تو ہو تو جان ہم آغوش
कई फ़ाक़ों में ईद आई है आज तू हो तो जान हम-आग़ोश

"dekh qasid ko mire yaar ne puchha 'taban' kya mire hijr men jiita hai vo ghamnak hanuz"
"khvan-e-falak pe ne.amat-e-alvan hai kahan khali hain mahr-o-mah ki dono rikabiyan"
"yahan yaar aur bardar koi nahin kisi ka duniya ke biich 'taban' ham kis se dil lagaven"
"vo to sunta nahin kisi ki baat us se main haal kya kahun 'taban'"
"main to talib dil se hunga diin ka daulat-e-duniya mujhe matlub nahin"
"mujhe aata hai rona aisi tanha.i pe ai 'taban' na yaar apna na dil apna na tan apna na jaan apna"