Sher
"ma.adum hue jaate hain ham fikr ke maare mazmun kamar-e-yar ka paida nahin hota"
"uTha di qaid-e-maz.hab dil se ham ne qafas se ta.ir-e-idrak nikla"
اٹھا دی قید مذہب دل سے ہم نے قفس سے طائر ادراک نکلا
उठा दी क़ैद-ए-मज़हब दिल से हम ने क़फ़स से ताइर-ए-इदराक निकला

"ma.adum hue jaate hain ham fikr ke maare mazmun kamar-e-yar ka paida nahin hota"
"ai saba qil.a-e-hasti se jo dam ghabraya baDh ke do-char qadam maut ka aaga bandha"
"aap hi apne zara jaur-o-sitam ko dekhen ham agar arz karenge to shikayat hogi"
"dil men ik dard uTha ankhon men aansu bhar aa.e baiThe baiThe hamen kya janiye kya yaad aaya"
"baaqi rahe na farq zamin asman men apna qadam uTha len agar darmiyan se ham"
"na paDha yaar ne ahval-e-shikasta mera khat ke purze kiye bazu-e-kabutar toDa"