Sher
"mumkin hai ashk ban ke rahun chashm-e-yar men mumkin hai bhuul jaa.e gham-e-rozgar men"
"zanjir zulf-e-siyah samundar nigah-e-shokh ja.un kahan farar ka rasta koi to ho"
زنجیر زلف سیاہ سمندر نگاہ شوخ جاؤں کہاں فرار کا رستہ کوئی تو ہو
ज़ंजीर ज़ुल्फ़-ए-सियाह समुंदर निगाह-ए-शोख़ जाऊँ कहाँ फ़रार का रस्ता कोई तो हो

"mumkin hai ashk ban ke rahun chashm-e-yar men mumkin hai bhuul jaa.e gham-e-rozgar men"
"har aankh ik saval tahi-dast ke liye kab tak marunga mere khuda baar baar main"
"kuchh vaqt apne saath guzarunga main 'zamir' khud se agar mila jo kabhi ku-e-yar men"
"kis se karun main apni tabahi ka ab gila khud hi kaman-ba-dast huun khud hi shikar main"
"muddat hui hai dast-o-gareban hue hamen ummid na-umidi khuda rozgar men"